Friday, July 13, 2012

Bringing back to life..!!

Chal us dafn hui khwahish ko uski kabra se nikalein,
uspar jami dhool ko hataein,
ho sake to usey phir se zinda kar dein,
ya yun karein, ki ek nayi khwahish banaein.
Mere andar ek khwahish rehti thi,
uski bhi kayi khwahishein thi.
kayi khwahishein aisi jo mehez diary ke panno tak hi reh gayin,
aur kuch aisi, jo wahan tak ka bhi safar na teh kar payi.
Waqt guzra, aur us khwahish ko bhi sung le gaya.
rokna chahiye tha us waqt ko, usey le jaane se
rokna chahiye tha usey khwahish ko dafn karne se.
Par waqt pe kiski chali hai?
aur kiske chahne par wo chala ya thama hai.
Us waqt mein ja kar, khwahish ko jagakar, waqt ko maat dekar
wapas aana hai mujhe, ek Zinda Khwahish ko lekar.

Jeevan


Ek azaad parindey ki tarha
Ek akele insaan sa tanha
Ek jungle mein sher jaisa
Ek uske shikaar ke jaisa
Ek jeevan mein aisa…. yeh sab hai jaisa
Ek bhatka hua raahi
Ek fakir sa shahi
Ek anjaan sa raazdaar
Ek pehchana sa dagabaaz
Ek jeevan mein aisa…. yeh sab hai jaisa.

Thursday, July 12, 2012

Chal


Chal kuchch aise pal, hum leke aayein us kal se;
Chal, un lamhon ko hum jee lein phir kal se;
Chal, wo unkahi batein, phir se kehne ko hum baithein
Chal, keh bhi dete hain, jo na keh paye hum us kal mein
Chal, ji bhi lete hain wo zindagi, jo na jee p aye hum us kal mein.

Wednesday, September 7, 2011


Main…. Ek Berang Sa Rang
Main, ek berang sa rang,
Sochta tha, ki kya rang kam padh gaye the?
Kyon berang sa mujhe chhod gaye the.
Duniya mein itne rang, phir main kyon berang?
Jahan bhi dekhun, dikhte kayi rang..,
Laal, neela, peela, hara…sab nazar aata,
Par main,… ‘hara’ to nahi,  magar ‘haara’ nazar aata.
Phir nikal padha  ek safar mein,
Berang sa main.., kuch rang khud mein bharne.
Ja pahuncha  ek mele mein,
Wahan sab rangeen sa nazar aaya,
Par koi ek rang na tha, jo aap nazar aaya.
Rangon ka woh mela, ban gaya  rangeen sa koi mela,
Jin rangon ne use banaya, who unhein hi mita gaya.
Kya berang sa mela…. Woh berang sa mela.

Chalte chalte ja pahuncha main ek rangon ki khaan mein,
Mujh jaise kayi berang khade the wahan,
Khud mein rang bharne ke liye
Itna jal ke… itna seh ke
Ek nayi pehchaan banaane ke liye, khade the wahan.
Usi mele ka hissa banne ko bekarar… khade the wahan.

Yahi to thi meri manzil,
Phir kyon ab mujhe koi rang manzoor nahi.
Rang paa kar bhi, koi pehchaan na hona..
Isse to ..main berang hi sahi.
Mujhe nahi bharna koi rang,
Mujhe nahi banna koi rang
Meri yahi pehchan hai..
Ki main hoon berang.

Accidental Incest

I read an article today, saying about a sperm donor who technically has 150 children born to 150 mothers. sounds interesting. but what really caught my eye was, the chances of accidental incest between these half sisters and half brothers.
i don't want to comment on what's right n what's wrong or what's incest n what's not. i just want YOUR views on this, don't give views on behalf of the society crap. say what u think about it.